dilbar ki shayri

hello dosto aap sabhi ka “Dil ki baat dilbar ke saath” me swaagat hai..mera naam Dlbar saab urf Mohit mishra hai. dosto main aap sabhi ko jo bhi shayri ya kavita yaha sunauga wo main khud hi likhta hu,. main kisi ki copy nahi karta or na mujhe achha lagta hai kisi ki nakal karna, kyuki nakal insaan tab tak hi kar sakta hai jab tak koi saamne ho ......chaliye ab aap sab ka jyada time na leta huye shayri sunata hu
.
.
.
 .
.
kabhi mere labon pe bhi mohobatt ka tarana tha,
kyu mera haath thama tha tujhe jab chhod jana tha,
kiya aazad tujhko ja nayi duniya basale tu,
samajh lena ki “DILBAR" bhi koi kissa purana tha.
...
.
.
..
.ye doulat or shohrat kaam tere kuchh na aayegi,
jawani shaam ki tarah hai ik din dhal hi jayegi,
kuchh aisa kaam karke is jahaan se jab main jaunga,
ye duniya yaad kar kar ke mujhe aansu bahayegi..
.
.
.
.
dhal gaya din hai aayi raat akela dil ye mera hai,
in tanhaiyo ke badal ne mujhko fir se ghera hai,
kabhi roshan huaa karta tha aangan jo chirago se ,
ab us dehleez par chhaya andhera hi andhera hai..
.
.
.
 .
khuda mana tujhe maine tera mandir banaya hai,
prem ke pushp se teri moorat ko sajaya hai,
na hi dhoop na hi deep na ghee paas hai mere,
hai teri aarti karne ko apna dil jalaya hai...
.
.
 .
main aksar sochta hu ye na jaane kya huaa mujhko,
na jaane mil rahi hai kis gunaaho ki sajaa mujhko,
mera ye naam bhi ik roj ko gumnaam ho jaaye,
kisi din kaash koi de aisi bad duaa mujhko....
.
.
.
.Gham- e - ulfat me jo beeti vo meri zindgani hai,
jo mera haal hai aisa kisi ki ye nishani hai.
hai maine aaj apne ishq ki dastan yaha chhedi,
abhi thodi sunayi hai abhi baki sunani hai...
.
.

.dosto ye meri sabse pehli post hai agr koi galti hui ho to maafi chahta hu or agr kisi ko meri shayri achhi lagi ho to plzz mujhe zrur btaye or agr koi kami bhi ho to bhi zrur bataye qki kamiya jaanne ke baad hi insaan sudhar karta hai.... agli baar fir pesh houna aapke samne dil ko chhu lene wali ek kavita ke saath jiska naam hai  “Milan nahi ho payega" or use hindi me lilkhunga qki hindi ke shabd hindi me hi achhe lagte hain... sabhi ko mera namaskaar...

Comments